Maha-Bharat Mein Bhrashtachar

Jun 29, 2016

Duryodhan Mahabharat ka yuddh chhod ke bhaga aur kaha, “Ab no more killing.”

Tab logo ne us se puchha, “Bhaiya! Why the sudden change in your feeling?” ;-)

Shakuni bola, “Arey Dude! Uska koi dosh nahi, 21st century ka use hosh nahi. Woh to hai bechara kismat ka mara.”

Khel gaye Bhagwan “Politics” Sattyug mein bhi aur puri Duniya se kaha, “Yuppie! Duryodhan hara… Duryodhan hara…”

Sun kar yeh, Duryodhan ko nahi raha koi hosh,
Mit gaya uska sara josh,
Aur tallii ho kar ban gaya woh Khargosh.
Tab Kayar bana Shayar aur kuch aisa keh gaya,
Jo anewali kuch sadiyon tak misaal ban gaya…

Krishna ne jab Rann chhoda to Rann6od naam mila hai,
Zara gaur farmayein,
Krishna ne jab Rann chhoda to Rann6od naam mila hai,
Har challenge se mera dil bhi bade jigar se khela hai.
Zara dekh lo mera sar, kaise mehnat se gila hai,
Zara dekh lo uski aur, kaise thakan se pila hai,
Phir bhi,
Main karu to saala character dhila hai :-D

Manga jab Duryodhan ne Kishan se insaaf,
Hans kar bole Bhagwan, “Pehle kar apne man ko saaf.”

Bola Duryodhan, “God tussi great ho! Lekin ek chance to do, chahe kitna bhi late ho!”

Na jane woh kaun si manhoos ghadi thi jab Bhagwan ne kaha TATHASTU,
Aur Duryodhan aya “21st century” mein bankar hamara ASTU.

Kaha good-bye Duryodhan ne aur wada kiya, “Karenge Bhavishya mein ankhe chaar.”
Jab main bankar aaunga 21st century ka BHRASHTACHAR.

Ab hua yun ki, Duryodhan ne to rakha apne wade ka maan,
Aa gaya woh besharam, chalne apni baaki bachi chaal,
Bhrashtachar kha raha hai Bharat ki Aan-Baan-Shaan,
Lekin, in sab mein aap kaha kho gaye Bhagwan?